SHAYARI

Back to funcentre

Agar thum pehnoge Rupa ke Underwear aur Baniyan...

Agar thum pehnoge Rupa ke Underwear aur Baniyan...

tho bechari Rupa kya pehnegi??????

Tum aa gaye ho,
Noor aa gaya hai
Chalo teeno movie chalen.

Voh Sadak Ke Us Paar Thi
Hum Sadak Ke Is Paar The
Kuch Hum Aage Badhe, Kuch Voh Aage Badhi
Hum Kuch Aur Aage Badhe, Voh Bhi Kuch Aur Aage Badhi
Hum Aur Bhi Aage Badhe, Voh Bhi Aur Aage Badhi
Ab Hum Sadak Ke Us Paar Hein,
Aur Voh Sadak Ke Is Paar Hein

Bewafa sanam se to cigarette achi hai,
Bewafa sanam se to cigarette achi hai,
Dil jalati hai, par hoto se to lagti hai

Kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai
Kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai ..
Ke kyon mere dil mein khayal aata hai ye Kabhi Kabhi ??

Door se dekha to kuchh dikha nahi......
Door se dekhaaa.. to kuchh dikha nahi.....
Paas jake dekhaa to kuchh tha hi nahi

Door se dekha to Patthhar dikhta tha.....
Door se dekha.. to Patthharr dikhtaa thaa......
Paas jake dekha to... suchmuch Patthhar hi thaa......

Mat pee sharab galib masjid mein baith kar
Ek hi botal hai, kahin khuda na mang le

Kaaash ke tere chehre par chechak ke daag hote.....
Kaaash ke tere chehre par chechak ke daag hote.....
Chand to tu hai hi ..sitaare bhee saaath hote !!!

Jee chahata hei kee tere nazuk honthon ko choom lu
Jee chahata hei kee tere nazuk honthon ko choom lu
Magar teri bahti hui naak ne iraada badal diya....

Mashooka: Lagta hai meri aankh mein kuch gir gaya, dekho to.....
Mashook: Darling, ek tinka dikh to raha hai...
Kyon na use wahin rahne diya jaye...
Main doobonga to sahara dega......

Kuch aur arz kiye hain.....
Jawaab teri shayari ka....
Denge hum shayari mein....
Naam tera likh baithe hain....
Apne dil ki diary mein....

Kafan Mere Armano Ka Kaafi Rangeen Hein
Chiten To Khoon Ke Hein,
Zakham Sangeen Hein.
Asman Roya Na Hawa Kuch keh Saki,
Mere Aansuon Ki yeh Gawah Yeh
Gili Zameen Hein.

Unse Puche Agar,
Kab Naseeb Hoga Humme Pyaar Tera,
To Jawab Aata Hein,
Jab Intezaar Kar Chuke Ho Itni Der
To ek Zamana Aur Sahi.
Unse Kahe Agar,
Tere Bin Mar Jayenge Hum,
To Jawaab aata Hein,
"Qatil" Naam Diya Hein Sabne,
To Ek qatal Aur Sahi.
Unse Kahen Agar,
Dil Na Tod, Gum Hein Bhaari,
To Jawab Aata hein,
Tu To Gumoh Ka Badshah Hein,
Ek Gum Aur Sahi.

Hein Chaand Tu Is Tarah
Itrakar Na Dekh,
Humne Bhi Kayee Chand Dekhen Hein
Tummhe To Daag Hein,
Humne To BeDaag Dekhen Hein.

Mein Labve Shikvan Ko Seen Letan Hoon,
Chand Ghadiyaan Yuhi Jee Leta Hoon,
Magar Jise Samjoo Dost Ka Haath
Uss Hath Se Zeher Bhi Pee Leta Hoon.

Pyar Mein Log Jinda Dafnaye Jatein Hein,
Pyar Mein Log Jinda Dafnaye Jatein Hein,
Kabar khood Ke Dekhon Intezaar Mein Paaye Jatte Hein.

Mera Din Teri Raat se Accha Hoga,
Mera Kal tere Aaj se Accha Hoga,
Magar Tum Jab shaadi kar ke Javo gi
Tab Doli Mein Se Ghoonghat Utha Kar Dekhna
Mera Zanaza Tumhari Barat Se Accha Hoga

Kitne Log They Tumhare Zanaze Ke Peeche,
Ek Mein Nahin Tha Tere Zanaze Ke Peeche,
Mein Hota Bhi Kaise Tere Zanaze Ke Peeche,
Jo Mera Zanazaa Ja raha tha Tere Zanaze Ke Peeche.

Kaun Kehta Hein Sharab Mein Nasha Hota Hein...
Kaun Kehta Hein Sharab Mein Nasha Hota Hein...
Sharab Mein Nasha Hota To Bottle Nahin Jhoomti.

Tujhe Kisi Aur Ke Dil Mein Dekh,
Mein Khuda Se Karne Gaya Fariyad,
Kya Karen, Kambakhat Khuda Bhi
Tumhara Chaahane wala Nikla.

Har Waqt Ikrar Karne Par jawab Milta Hein Nahin
Har Waqt Ikrar Karne Par jawab Milta Hein Nahin
Itne Zulm Seh Chuke Ho, Unme Ek Zulm Aur Sahi.

Roshni.. Chand Se Hoti Hein,
Sitaron Se Nahin,
Mohobbat Ek Se Hoti Hein,
Hazaron Se Nahin.

Voh Sadak Ke Us Paar Thi
Hum Sadak Ke Is Paar The
Kuch Hum Aage Badhe, Kuch Voh Aage Badhi
Hum Kuch Aur Aage Badhe, Voh Bhi Kuch Aur Aage Badhi
Hum Kuch Aur Aage Badhe, Voh Bhi Kuch Aur Aage Badhi
Ab Hum Sadak Ke Us Paar The, Aur Voh Sadak Ke Is Paar Thi.

Dharti se aasmaa tak, aasmaa se dharti tak
Dharti se aasmaa tak, aasmaa se dharti tak
Dharti se aasmaa tak, aasmaa se dharti tak
Dharti se aasmaa tak, aasmaa se dharti tak
[Audience: Are bhai, aage bhi to bolo.]
Hawa hi hawa hai.

Gam woh cheez hai
Jisse kagaz chipkaye jaate hain

Kyon apni kabra khod raha hai Galib
La, phawda mujhe de.

Bhaisaheb, ek sher yaad aaya...
Irshaad..
Arz kiya hai: Roarrrrrrr.

Tumko dekha to yeh khayaal aaya
Ki kal raat maine itna kyon khaya.